Monday, November 24, 2014

Kitaabon Sa Rishta - Part III

Woh yaad hai,
Aur woh yaad bhi hai.
Yehi toh ruyon se jhagadta purana sweater bol raha hai
Woh kuchh toh afwaah hai
Aur kuchh raaz hai
Laut-ti sardiyaan aas-paas phusphusa rahi hain.
Sard raatein maano ki yaadon ka kaarvaan hai
Phir chai ke pheekepan ki bhi toh apni zubaan hai
Jo gehri-kaali pyali se jhaank kar
Subah ki kirno par ankhein moond leti hai
Kitaabon par gaadhi syahi bhi ab
Dhundhle lafzon mein yaad sikod leti hain
Aaya toh tha na?
Aake gaya bhi tha na?
Ya is aane jaane ke khel mein
Kuchh toote-bichhde se mel mein
Bas ik chhalava tha?
Pyaar ka dikhava tha?
Kuchh toota dil
Kuchh tooti main bhi
Ek raasta woh dhoondhne aage badh gaya
Ek raasta main takte peechhe chhoot gayi

Picture by Aaqib Raza Khan
PS - This is the third in the series of a 4 part poem. You may read the first and second part on the links mentioned below.

3 comments: