Showing posts with label Hindi. Show all posts
Showing posts with label Hindi. Show all posts

Monday, November 24, 2014

Kitaabon Sa Rishta - Part III

Woh yaad hai,
Aur woh yaad bhi hai.
Yehi toh ruyon se jhagadta purana sweater bol raha hai
Woh kuchh toh afwaah hai
Aur kuchh raaz hai
Laut-ti sardiyaan aas-paas phusphusa rahi hain.
Sard raatein maano ki yaadon ka kaarvaan hai
Phir chai ke pheekepan ki bhi toh apni zubaan hai
Jo gehri-kaali pyali se jhaank kar
Subah ki kirno par ankhein moond leti hai
Kitaabon par gaadhi syahi bhi ab
Dhundhle lafzon mein yaad sikod leti hain
Aaya toh tha na?
Aake gaya bhi tha na?
Ya is aane jaane ke khel mein
Kuchh toote-bichhde se mel mein
Bas ik chhalava tha?
Pyaar ka dikhava tha?
Kuchh toota dil
Kuchh tooti main bhi
Ek raasta woh dhoondhne aage badh gaya
Ek raasta main takte peechhe chhoot gayi

Picture by Aaqib Raza Khan
PS - This is the third in the series of a 4 part poem. You may read the first and second part on the links mentioned below.

Thursday, November 20, 2014

Kitaabon Sa Rishta - Part II

Meri sard kahaani mein kahaani nahi
Chai ki chuski jaise aaya woh
Kitaabon par jo dhabbe chhod jaati hai
Mehekti adrak ki pyaali jaisa aaya woh
Barfeeli raaton mein rooh ko garmahat de jaaye
Behkaate, chuskiyaan lete lamho jaisa aaya woh
Har roz chai chadhaane ka hausla de jaaye
Subah ke zayke jaisa aaya woh
Dil kuchh khush hua, kuchh majboor
Uske paas ja baithi, khud se door
Ab usmein hi toh main rehne lagi thi na
Khushk haathon mein mehendi mehendi mehekne lagi thi na
Usne safed nahi, laal sehra bandh liya tha
Mujhe laal dupatte mein samete, saath dhaank liya tha
Uski athkeliyaan mann mein goonj uthi aise
Ki ris rahi ho uske hasi mein bachpan ki maasoomiyat jaise
Khayaal dar khayaal woh mere paas aata raha
Lamha dar lamha mujhse door hota raha
Aankhri saans tak saath nibhaana yaad raha usse
Woh saans mere aaghosh mein leke ka nata yaad raha usse. 



PS - This is part II of a four part poem. You can read the first part here - Kitaabon Sa Rishta - Part I