Thursday, November 20, 2014

Kitaabon Sa Rishta - Part II

Meri sard kahaani mein kahaani nahi
Chai ki chuski jaise aaya woh
Kitaabon par jo dhabbe chhod jaati hai
Mehekti adrak ki pyaali jaisa aaya woh
Barfeeli raaton mein rooh ko garmahat de jaaye
Behkaate, chuskiyaan lete lamho jaisa aaya woh
Har roz chai chadhaane ka hausla de jaaye
Subah ke zayke jaisa aaya woh
Dil kuchh khush hua, kuchh majboor
Uske paas ja baithi, khud se door
Ab usmein hi toh main rehne lagi thi na
Khushk haathon mein mehendi mehendi mehekne lagi thi na
Usne safed nahi, laal sehra bandh liya tha
Mujhe laal dupatte mein samete, saath dhaank liya tha
Uski athkeliyaan mann mein goonj uthi aise
Ki ris rahi ho uske hasi mein bachpan ki maasoomiyat jaise
Khayaal dar khayaal woh mere paas aata raha
Lamha dar lamha mujhse door hota raha
Aankhri saans tak saath nibhaana yaad raha usse
Woh saans mere aaghosh mein leke ka nata yaad raha usse. 



PS - This is part II of a four part poem. You can read the first part here - Kitaabon Sa Rishta - Part I

1 comment:

  1. aap jo words use karti hain bohot acche hote hain..choti choti khushiya..chai adrak mulayam baten kadak page..waah.

    ReplyDelete