Saturday, December 28, 2013

Ab Bas Karo

Ab bas karo, in aankhon se sharaarat si behti hai
Yeh makhmali neend, humein so jaane ko kehti hai

Tharraatein labon ki chahat se waakif hain hum
Yeh muskaan tumhari adhoore armaan sehti hai

Chand se muhabbat, sunehri kirno se bair
Andhera tham jaaye, aankhon mein khwahish si rehti hai

Ek raat hi toh hai paas, jisse neend ne nishaane par rakha hai
Ehsaas badnaseeb, umeedein khaare paani si behti hai

Aur un aankhon se kehdo ishaare karna band kare
Yeh nasheeli zubaan, zaalim, bhoole armaan sulga deti hai

Ab khush ho, is nashe se baandh jo subah tak le aaye
Makhmal se ishq ki chubhan sone hi kahaan deti hai


11 comments:

  1. Replies
    1. Thanks Alka! Now that you are in Delhi, try and come to PACH!

      Delete
  2. Excellent, brilliant! Wow Saumya Di wow!.

    ReplyDelete
  3. most amazing lines i have read lately.. just superb!

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thanks! Coming from a fine poet himself, these lines make me so happy!

      Delete
  4. While going through your blog's "Introduction" where you have described yourself, I found it pretty intriguing that it describes a lot of 'me' too, the 'categorical dumbness' especially. You really write very well. Keep the dumbness flowing!

    ReplyDelete
  5. teri muskurahat se mili hai ek raah mujhe
    tere tasawwur se mili hai ek aas mujhe
    rango ki mehfil me rang hai kai saare..
    tere rang se mili hai, hansi qaaynat mujhe

    kya baat hai .. awesome

    ReplyDelete