Wednesday, April 1, 2015

Nasamajh

Shayari kya hai
Yeh likhne baithi
Toh tumhe likh baithi.

Khalipan par wafa ke naam
Ek khat shuru kiya hai
Is khat ki khata itni hai
Ki hosh ke daayre se ucchal
Sharaab ke sheeshe se takra
Guzre  waqt, jazbaat aur syahi ki
Ek naayab cocktail ijaat kardi isne.

Ab jahaan saansein tez hoti hain
Wahaan qalam bhaari ho jata hai
Dil ki dhadkane badhti hain
Toh mez se kaagaz ud jata hai

Ghulti ja rahi hoon
Us nasamajh cocktail mein
Mit-te ja rahe ho tum
Mera guroor
Toooti si reh gayi hai tumhaari yaad
Aur mere qalam ki chonch.

Mujhe safed kaagaz kabhi samajh nahi aaya
Main baithi hoon
Un peele-puraane panno mein
Dari aur sakpakaayi
Ki agli baar
Shayari kya hai
Yeh likhne baaithoon
Toh tumhe na likh baaithoon.

Aur 'gar tumhe likhne lag jaaoon
Toh khud ko na kho doon. 

Mujhe meri shayari dobara samjha do. 

PC - The Reading Room

It's April first today. What better than love, alcohol and blank diaries to make a fool of oneself?

10 comments: