Thursday, June 4, 2015

Badi Pagal Si Ladki Hai

Prelude - For my birthday this year, I got many gifts, in gestures, in words, in books, in love - in many other manifestations, but the gift I am sharing with you all here is the most special among them. To have had these words read out to me was an experience nothing short of magical and extremely humbling. Gratitude fills me as I post this -

Badi paagal si ladki hai..
Ajab khwaabon mein rehti hai..

Bikhre baal rakhti hai…
Alag sa haal rakhti hai…

Alag ek dhun mein rehti hai…
Hamesha hasti rehti hai…

Kabhi khamosh ho jaye…
Yun toh kam hi hota hai…
Ke jab khamosh hoti hai…
Fiza pe rang nahi chadhta..
Bahaarein laut jaati hain…
Ghatayein ghir bhi jaayein gar…
Boondein dam nahi bharti…

Aur jab muskuraati hai…
Gul bhi muskuraate hain…
Mausam khil ke aate hain…

Ajeeb ik zid si hai pakde…
Ke Gul sehraa mein khilaane hain
Sab kaante mehkaane hain..
Roton ko hasaana hai, roothon ko manaana hai..
Gham duniya ke mitaane hain..

Kabhi koi jo gham, uska..
Gar humsaaya ho jaye…

Gham se ru-ba-ru hokar..
Milaa kar aankh har ranj se…
Yun muskuraayegi..
Ke gham muskura dega

Dard ki baahon mein daal kar baahein …
Yun gungunaayegi…
Ke dard bhi gungunaayega…

Koi bhi dharm duniya ka…
Isko soojhta kab hai…
Mohabbat pooja karti hai..
Mohabbat socha karti hai…

Kabhi poochho sabab iska..
Toh hans ke itna kehti hai…
Ke tum dekhna jaana…
..Ke tum dekhna jaana…
Ik roz duniya ko…
Mohabbat Main sikha dungi..
Ik roz duniya ko…
Main ishq bana dungi…

Badi Deewani ladki hai…

Ke bas khwaabon mein rehti hai…


Picture credits - Mayank Austen Soofi

2 comments: